|
|

 |
|
 Sudheer Nath |
JAAL brings you the Amitabh Bachchan's Dialogues. If you have any jokes, send them in to editor@jaalmag.com
"Aisa to Aadmi Life mein Doich time bhaagta hai. Olympic ka race ho, yaa Police ka case ho. Tum kisliye bhaagta hai bhai?" - Amar Akbar Anthony
"Yeh koylei ki khaan ek azgar hai seth sahaab, jo roz , unginath logon ko nigalkar, usei peeskar, jissm se khoon ka ek-ek katra choosk ar, ek lash ke roop mein ugall deta hai." - Kaala Paththar
"Govardhan seth, Samundar mein tairne waale- kouon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain." - Sharabi
"Sahi baat sahi waqt pe kiya jaye to uska maza hi kuch aur hai, Aur main sahi waqt ka intezaar karta hoon." - Trishul
"Jisne pachchees saal se apni Maa ko thoda thoda marte dekha ho, use maut se kya dar." - Trishul
"Jigar ka dard upar se kahin maloom hota hai (?), Jigar ka dard upar se nahin maloom hota hai." - Sharabi
"Muchain hon to Nathulal jaise hon, warna na hon." - Sharabi
"Sapne bhi samundar ki lahron ki tarah, haqeeqat ki chattanon se takra kar toot jaate hain." - Deewar
"Hum jaha pe khade ho jaate hein, line wahi se shuru hoti hai." - Kaaliya
"Tumhara naam kya hai, Basanti?" - Sholay
"Eh Caancha, saala bandook bhi dikhata hai aur peeche bhi hattha hai?" - Agneepath
"Jo mard hota hai, use dard nahi hota." - Mard
"Ye telephone bhi ajeeb cheez hai- aadmi sochta kuch hai, boltha kuch hai, aur karta kuch hai." - Agneepath
"Zindagi ka tambu teen bambuo pe khada hai." - Sharabi
| |
|